Jaise kisi surkh bageeche mein patjhad aa jaaye;
Jaise koi toofaani thapedon se
gharon mein tabaahi macha jaaye;
Haan,
tumse door jaane se dil ghabrata hai,
Raaton ki neend toh jaise ek sundar sapna
ban ke reh gayi ho,
Tumhari bachkaana hasi ne
hoton ko hasne pe
majboor sa kar diya ho;
Kahan jaau main tumse door?
Kyun jaau main tumse door?
Tum toh kabhi paas the hi nahi;
Bas ek yaad the:
Sapne jaise
jaise kisi dhue mein lipti hui chingari
Rangon se roshan kar deti hai
gharon ki parchayion ko;
Jab tak woh laal-naarangi rang
Raakh na ho jaayein,
Kaise chali jaau tumse door?
Jin aankhon mein apna astitva dekha tha
un aankhon se kaise aankhein churau?
Pyaar shabd se dil ghabrata hai ab
Tumhari hasi pe vishwaas karu ya tumhari gayab hasti pe?
©Geetakshi Arora
19 October 2014